Google Account Se Connected Third Party Apps Ko Remove Kaise Kare |
Bhhut si asi website aur apps hai jin par hum google account se sign in kr lete hai lekin inme se kuch website danger hoti hai aur aapke google account ka galat istemal kar skti hai. Isliye aaj m aapko btaunga ki aap kaise Google Account Se Connected Third Party Apps Ko Remove kar skte hai.
Apne google account se jude third party apps ko security ke liye remove krne ke liye steps ko follow kare aur Is article ko poora read kare.
Google Account Se Connected Third Party Apps Ko Remove Kaise Kare
Step 1. Sbse phle apna google account ( Gmail) sign in kar lijiye. aur google account par jaaye.
Step 2. Google account par jaane ke baad Sign-in & Security aur Apps with account access par option par click kare.
Step 3. Iske Baad Manage apps par click kare.
Step 4. Yaha par aapko vo third party apps dikhenge jo aapne google account se jod rkha hai. aap jis app ko remove krna chahte hai use remove kar skte hai.
iske liye aapko Remove Access par ke option par click kare.
Step 5. Ab aapke saamne ek pop up window open hogi aur iske baad Ok par click kare.
To is parkaar aap aasani se third party apps aur website ko remove krke apne google account ko safe rkh skte hai.
Dosto kaisa laga aaj ka humara article comment krke btaye aur share jrur kare.
Thanks For Visit.
Post a Comment
Please Don't Enter Any Spam Link In Comment Box