Whatsapp Ke 5 Best features - Jaane Hindi Me

Hello Friends,
dosto aap sabhi whatsapp to use krte hi honge whatsapp poore world me sbse use hone waali messenger App hai, whatsapp ke jriye aap apne dosto ko message, image, video aur document etc bejh skte hai aur aap whatsapp se voice calls aur video calls bhi kar skte hai. whatsapp me samay samay par naye features add kiye jaate hai jinhe bhhut se log nhi jaante to me aaj aapko whatsapp ke 5 features ke baare me btaunga.


Whatsapp Ke 5 Best features, whatsapp new update features
Whatsapp Ke 5 Best features 

Whatsapp Ke 5 Best Features :-


1. Blue Tick Ko off kare -


dosto aapko kai baar ase logo ke message aate hai jinko aap dikhana nhi chahte ki aapne unka message padh liya hai to ase me agle ko pta chal jaata ki aapne message pdh liya kyoki message read krne ke baad agle ko Blue tick show krta hai to ase me aap Blue Tick ko off kar skte hai iske liye aapko whatsapp me Setting > Accounts > Privacy > Read Receipts is path ko follow kare aur Read Receipts ko uncheck kar de is parkaar aapka Blue Tick off ho jaayega.




2. Delete For Every One -


Dosto yeh Features abhi thode din phle whatsapp ne launch kiya hai is feature se agar aapse koi galat message send ho jata hai to use aap delete kar skte hai iske liye aapko message par Long press krna hoga usme aapko Delete For Every One ka option dikhayi dega jiski madad aap sent huye message ko delete kar skte hai yeh krne ke baad agla yeh message nhi pdh paayega.



3. Mobile Data Save kare -


jab hum mobile data on rkhte hai to whatsapp me aaye huye videos aur photos auto download ho jaate hai isse hota yeh hai ki humare pas limited data hota hai  to vo jaldi khatm ho jaata hai to ase me hum setting me data option me jaakr auto download ko off kar skte hai ase me aapka data save hoga.



4. Messages Ko Recover Kare -


Dosto kai baar hota hai ki hum whatsapp ko uninstall kar dete hai to dubara se download krte hai to hume phle waale message show nhi hote mtlb delete ho jaate hai. Dosto aap is delete huye messages ko recover kar skte hai iske liye aapko Apne Backup ko on rkhna hoga, iske liye aapko setting > Chats > Chats Backup path ko follow kare is se aapke saare message recover ho jaayenge.



5. Whatsapp Group me Aapke Message kon seen kar rha hai 


Dosto aksar log group me message karte rhhte hai aap bhi krte honge lekin aapne kbhi nhi dekha hoga ki mere message ko group me kon seen kar rha hai kyoki ise baare logo ko pta nhi hota ki kaise dekhte hai dosto bhhut hi simple hai iske liye aapko apne group waae message par long press kare uske baad i icon par click kare aapko pta chal jaayega ki kon message seen kar raha hai.



Dosto kaisi lagi humari yeh post comment krke hume btaye aur share jrur kare.

Please Don't Enter Any Spam Link In Comment Box

Post a Comment

Please Don't Enter Any Spam Link In Comment Box

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post