MI Account ID Kaise Banate Hai Full Guide In Hindi

Hello Friends Mi Account Kaise Banaye , How to create MI Account Agar Aapke pas Xiaomi Redmi Phone Hai To yeh Post aapke liye bhhut Important hai. Aur Ydi aapke pas redmi ka phone nhi hai fir bhi aap kaise MI Account bna skte hai isliye aaj main aapko btaunga ki aap kaise Mi account bna skte hai.

Friends ab baat aati hai ki hum MI account kyo banaye to m aapko bta du ki Mi Account ke bina aap Mi ki kisi bhi service ka use nhi kar paayenge. jaise Mi Apps ko use nhi kar paaoge, Apne Xiaomi Phone ko update nhi kar paayenge, agar hum MI store se shopping krna chahte hai to aap nhi kar paayenge, mi themes aur cloud storage jisme aap apne phone ke sabhi data jaise contacts, photos, calls etc ko save nhi rkh paayenge to mtlb baat sidhi hai ki agar hume MI ki services ka use krna hai to hume MI account create krna hi pdega.


MI Account Kaise Banaye Step By Step

Agar aapke pas Mi Phone hai to aap sbse phle Mi Store App ko open Kare. Agar aapke pas Mi Ka phone nhi hai to Aap Mi Store app ko Play Store se download kar le.

Step 1. Sbse Phle Mi Store app ko open kare aur Account par click kare. aur iske baad SignUp/Login par click kare ( Niche Screenshot me dekh skte hai.)





Step 2. Iske baad Create A Mi Account For Free Par click kare.




Step 3. click krne ke baad Apni Country choose kare aur fir apne mobile number enter karke jinse aap account banana chahte ho aur Next par click kar de.




Step 4. Ab aapko ek captcha code dikhega is captcha code ko same to same daale aur ok par click kar de.




Step 5. Jo aapne number enter kiya tha us par Ek verification code aayega use enter kare aur Verify par click kare.




Step 6. iske baad password enter kare aur Sign in par click kar de.




Sign in krne ke baad aapka Mi Account sucessfully create ho jaayega.

Friends is parkar aap Mi account easy trike se create kar skte ho. dosto kaisa laga aaj humara post comment krke hume btaye.

Thanks For Visit. 

Please Don't Enter Any Spam Link In Comment Box

Post a Comment

Please Don't Enter Any Spam Link In Comment Box

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post