Facebook Account Se Mobile Recharge Kaise Kare Full Detail

Hello friends Welcome to Technical Card Website. Dosto kya aap jaante hai ki facebook se recharge kaise kare. aapko to abhi pata bhi nhi hoga ki aap facebook account se recharge kar skte hai agar aap jaanna chahte hai ki facebook se recharge kaise kare to is post ko poora read kare kyoki aaj m aapko btaunga ki kaise hum facebook account se recharge kar skte hai.
Facebook Account Se Mobile Recharge Kaise Kare Full Detail
Facebook Account Se Mobile Recharge Kaise Kare Full Detail

Friends facebook popular social networking site hai is par lakho log active rhhte hai facebook se ek dusre se connected rhhte hai kisi bhi age ka banda ho aapko har kisi ka facebook account mil hi jaayega. aur hum india ki baat kre to facebook bhhut jyada use hota hai 

facebook bhi apne users liye naye naye features laata rhhta hai. facebook ne ab ek naya feature updateke saath chup ke se add kar diya hai jis se user apne facebook account se mobile recharge kar paayenge. social networking site par yeh feature recharge krna kafi aasaan bna dega.

Facebook ki sbse achi baat yeh hai ki facebook par hum apne friends ke saath connect rhhte hai unke saath chatting krte rhhte hai facebook par bhhut se group aur pages hai jinse hum humesha update rhhte hai.

Facebook se recharge krne ki process jaanne se phle m aapko iske fayde aur nuksaan ke baare me bta deta hu.

Facebook Se Mobile Recharge Krne Ke Fayde

1. Friends Facebook ek trusted website hai froud hone ka koi tension nhi hai.
2. facebook account se recharge krne par aapka time bach jaayega.

Facebook Se Mobile Recharge Krne Ke Nuksaan

1. Dosto facebook ka khud ka wallet nhi hai mtlb aapko recharge krne ke liye card ki jrurat pdegi.
2. Facebook se recharge krne par aapko cashback nhi milega.
3. Facebook se recharge krne ke liye aapko Master & visa card hi hone chahiye.

Aaj m aapko facebook account se mobile recharge krne ki poori jaankari dunga. to friends aaiye jaan lete hai ki hum Apne facebook account se kaise recharge kar skte hai.

Faceook Se Mobile Recharge Kaise Kare Full Details

Dosto ab m aapko facebook se recharge krne ki kuch details de rha hu. unko aap step by step follow kare. in steps ko follow krke aap facebook se mobile recharge kar paayenge.

Step 1. Sbse phle aap apne facebook App ko play store me jaakr update kar le.

Step 2. Iske baad facebook app ko open kare aur right side me corner 3- horizontal lines hai us par tap kare.




Step 3. Tap krne ke baad aapko Mobile Recharge krne ka option dikhega us par click kare.




Step 4. Mobile recharge par click karne ke baad aapke saamne ek new window open hogi usme aap recharge now par click kare.

Step 5. Agli window me aapko jis number par recharge krna hai use enter kare aur iske baad operator aur circle enter kare iske baad amount enter kare aur recharge par click kar de.




Step 6. Recharge par click krne ke baad payment option khul jaayenge. jisme aap Credit/debit card / Netbanking / UPI me koi bhi ek method select kr le aur details fill kare aur Place Order par click kar de. Ye payment ki saari process poori hone ke baad aapka recharge ho jaayega.

To dosto is parkaar aap Facebook account se mobile recharge kar skte hai. friends kaisa laga aaj ka article comment krke hume btaye aur agar aapka koi sawal hai to aap comment ke dwara pooch skte hai.

Thanks For Visit.

Please Don't Enter Any Spam Link In Comment Box

Post a Comment

Please Don't Enter Any Spam Link In Comment Box

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post