Android Mobile Ko Restore Kar Ke Mobile Ki Speed Kaise Increase Kare - Jaane Hindi Me

Mobile Ki Speed Kaise Increase Kare

Hello Friends, My Name Is Nitin Kumar aur aapka meri Website Technical card par swagat hai. aaj me aapko Mobile ko Format krne ke baare me btaunga, jise Factory Data Reset bhi khhte hai. to aaiye jaante hai ki mobile ko reset kaise krte hai.



Mobile ko Reset Kab Kare - 


1. Jab Mobile me virus aa jaata hai to aap apne mobile ko reset krke use aap htaa skte ho.
2. agar aapka mobile me hang hone waali problem aati hai to aap use reset kr skte hai.
3. Agar aapke Mobile me setting me kuch garbar ho gyi hai aur use aap solve nhi kr paa rhe ho to use aap Restore kr skte hai.


Mobile Reset krne ke baad kya Hoga



1. aapke Phone ki memory me save sabhi data jaise photos, videos, Documents etc. Clear ho jaayega.
2. Aapke Mobile me save sbhi Contacts, Messages sbhi delete ho jaayenge.
3. Mobile me Sign In account sbhi Sign out ho jaayege
4. Mobile me install sbhi aap Delete ho jaayenge.
5. aapka mobile vaisa ho jaayega jaisa aapne shuru dukaan se khrida tha.


Mobile ko Restore kaise kre -



Step 1. Sbse phle aap apne Mobile ki setting me jaaye.

Step 2. Setting me jaane ke baad Backup & Reset par click kre.

                                                        

Step 3. Backup & Reset par click krne ke baad aap factory data reset par click kre.



Step 4. Ab aap Reset Phone par click kre.

                                                         


Step 5. aur last step me aapko Erase Everything par click kr dena hai fir Mobile Format hona start ho jaayega.

                              

format ke time mobile apne aap switch off hoga aur kuch time baad automatic on hoga is process me km se km 5 minute hai time lag skta hai. fir aapka mobile Reset ho jaayega.

Please Don't Enter Any Spam Link In Comment Box

Post a Comment

Please Don't Enter Any Spam Link In Comment Box

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post